19 August, 2008

one more battle.

Tumhe kaise me bataaun, tumhe kaise main kahoon,
mere bas main agar hoto main bas itna hi karoon,
tumhe din bar, tumhe har pal dekta hi main rahoon,
tumhe deykun tumhe chaahoon, tumhe poojun har pal,
tumhe sochun, tumhe samjun, tumhe maangoon har pal,
tumhe main gungunaaun, tumhe gaaun har pal,
main tumhara hun aisa diwana meri jaan
mera marna bi tumhi ho , mera jina bi ho tum,
meri madira bi tumhi ho, mera peena bi ho tum,
meri chaandi bi tumhi ho, mera sona bi ho tum,
mera hasna bi tumhi ho, mera rona bi ho tum,
meri saari saanson me tum jaise ho guli
meri aanke tumhe deyke, chahe bandh ho ya kulee,
main tumhara hun aisa diwana meri jaan,...
mere dil me hai ye armaan tumhe ek din paaun,
is ambar se bi aage tumhe leykar jaaoon,
jahan raahon main ho bikre sab chaand aur taare,
jahan geeton ki behete woh meete dhaare,
jahan khwabon ki duniya kabi soye nahi ho,
jahan tum ho jahan mein hun aur koi nahi ho,
main tumhara hun aisa, diwana meri jaan

No comments: