05 October, 2006

SOME LINES I LUV TO TALK AB'T....

log har mod pe ruk ruk ke sambhalate kyun hain
itanaa Darate hain to phir ghar se nikalate kyun hain
main na juganu hun diyaa hun na koii taaraa hun
raushanii vaale mere naam se jalate kyun hain




TUM APNA RANJOO GHAM
TUM AAPNA RANJOO GHAM APNI PARESHANI MUJHE DE DO
MAI DEKHOO TO SAHI DUNIYA TUMHE KAISE SATATI HAI
THODE DIN KE LIYE APNI NIGHEBANI MUJHE DE DO !


TAARUFF ROG HO JAYE TO USKO BHOOLNA BEHTAR,
TAALUK BOJH BAN JAYE TO USKO TODNA ACCHA,
VO AFSANA JISE ANJAM TAK LANA NA HO MUMKIN,
USE EK KHOOB SURAT ROG DEKAR CHHORNA ACCHA !


DARD-E-DIL MEIN NA KAMMI KIJIYE......
DOSTI DUSHMANI NA HO JAYE........


ishq ki dastan hai pyare
apni apni zuban hai pyare
hum zamane se intequam to len ..
hum zamane se intequam to len ...
ek hansi darmiyan hai pyare ..
apni apni zuban hai ppyare ..


aadami aadmi kya dega
jo bhi dega wahi khuda dega
humse poocho na dosti ka sila
dushmanon ka bhi dil hila dega


kabhi khamosh baithoge, kabhi kuch gungunaoge
main utna yaad aaonga mujhe jitna bhulaoge
koi jab pooch baithega khamoshi ka sabab tumse
bahut samjhana chahoge magar amjha na paoge





kaun kehata hai mohabbat ki jaban hoti hai,
yeh haqeekat to nighaon se bayan hoti hai.





naa muhabbat naa dosti ke liye
waqt rukta nahin kisi ke liye
dil ko apne sazaa na de yun hi
soch le aaj do ghadi ke liye
chalta rahe waqt ke sath he
yahi munasif hai aadmi ke liye !!



No comments: